Kumar Apartment – Part 14 (Raah Me Mili Ek Nayi Bhabhi) free porn video
Sabko mera hi, hello. Mujhe kaafi khushi hai ki mera gmail aplogo ke mail se bhara hua hai aur aap sab kitne besabri se meri kahani padne ka intzaar kar rahe hai. Last ke kuch episode mein aap logo ne Shobha aur Akash ka sham ke liye plan banate dekha. Aur wahi teena aur Swati ka lesbian pyar dekha.
Mujhe maloom hai ki aap sab Shobha k eagle hisse ka besabri se intzaar kar rahe hai. Par aaj ka episode bhi Shobha ka nahi hai. Niraash na hoyiye aaj ke episode mein aap ek nayi bhabhi se milne wale ho. Hope you enjoy this part too and reply mein your review.
Jo bhi ye episode pehli baar pad rahe ho unse kahunga ki woh part 1 se pade taaki kahani ka pura maza le sake. Aap apni opinion mujhe mere mail pe de sakte hai kahani padne ke bad. Aap logo ke mail ka mujhe intzaar rahega.
Mera mail id hai pe bhej sakte hai.
PART 13: Raah Me Mili Ek Nayi Bhabhi
Narrated by Amit
Apne dost se milne ke bad sham ko main Majestic bustand pahuncha. Mere friend ne bataya tha ki is bustand se kahi ko bhi bus mil jayega. Kuch panch minute aur wait kiya aur fir lo aa gayi meri bus. Dekh ke khush bhi hua ki ab ghar jaldi jaunga Swati ke pas.
Aur sath hi udas bhi kyu ki bus mein koi bhi seat khali nahi dikh rahi thi. Par kuch zyada socha nahi aur chahad gaya usme. Bhid itni zyada bhi nahi thi bus mein. Baithne ko bhale jagah nahi thi par khade rahne ko aram se thi. Safar kuch bhi nahi to aadhe ghante ka tha.
Sham ke traffic mein shayad zyada bhi lagta. Kuch das minute bad bus agle stop pahunchi jaha kuch log chahde. Khade khade karta kya, yoon hi bus ke samne khadi ladkiyo ko peeche se kabhi kabhar ghur leta. Unme se ek peeche se mast lag rahi thi.
Par kandhe ki chaudayi se saaf lag raha tha ki woh koi jawan nahi, kuch nahi to 28-30 ki to hogi hi. Hight bhi achi khasi thi. Mujhse 2 ya 3 inch lambi thi. Badan sudol tha lekin ache se mentain ki hui thi. Kale rang ki full shleave top aur tight pant mein achi lag rahi thi.
Hatho ke rang se pata chala ki achi khasi gori bhi hai, khule baal lamba kad bilkul pataka madam lag rahi thi. Peeche se uske tight pant mein kasi hui sudol gand bus mein maojud har mard ki ankho ko akarshit kar rahi thi. Mann to ho raha tha ki uske pas jakar peche khada ho jaun aur uski gand par hath pheru.
Par nahi apna shahar nahi tha, kahi pit na jaun pagalpan mein. Kuch 10 minute ke bad ek aur stop aaya jaha kuch log utar gaye. Sath hi seat mein baithi kuch mahilaye bhi to ab jakar use bhi seat mil gayi. Aur tab jakar mujhe maoka mila uske haseen chehre ko dekhne ki.
Kyu ki woh us front wale seat par thi jo bas mein peeche ke taraf face karti hai. Kitni gori aur khoobsurat thi. Mann mein to gana bhi baj gaya ki ‘Enna sona thenu rab ne banaya’. Bhale uski gand dekh ke marne ka mann kiya par shakal dekhte hi pyar karne ka mann ho gaya.
Isi beech mein use dekhta raha bar bar aur bhool gaya ki main ek public bus mein hoon. Aur tab hosh mein aaya jab usne mujhe use dekhte hue dekha. Usne mujhe dekha aur gusse se khidki ke bahar dekhne lagi. Mano mann hi mann kah rahi ho ‘Naa jaane kaha se ye taadne wale kuthe bus mein ghus jate ho’.
Ye dekh maine bhi nazar hata di. Par dil to bacha hai ji. Bar bar kisi na kisi bahane use dekhne laga aur anjane mein kabhi kabaar woh bhi dekh leti mujhe use dekhte hue. Fir usne apni mobile nikali aur usme kuch kuch karne lagi. Sath hi woh bhi bar bar idhar udhar dekhte hue kabhi kabhi mujhe use dekhte hue dekh leti.
Uske nokhili naak pe jab gussa umadta tha to bhi woh kitni khoobsurat lagti thi. Par ab woh mere taraf dekh hi nahi rahi thi. Tabhi usne apni mobile pe kuch dekha aur jhat se mere taraf dekhne lagi. Maine jhat se nazar hata di. Fir dekha to woh kisi ko shayad text kar rahi thi aur fir uske chehre pe muskan aa gayi.
Shayad uske boy friend ya bhagwaan na kare uske husband ho jiska ka message tha ya kuch aur. Uske chehre ki muskan par to mein jaan dene ko taiyaar tha. Fir woh khidki ke bahar dekhi aur apne balo ke sath ungliyo se khelne lagi. Main to bas use apni duniya mein khoi hui dekh khush tha.
Pata nahi shayad aisa lag raha tha ki uske chehre se pyar ho gaya ho.Tabhi usne achanak se mujhe dekha aur ek choti si muskan deti hui firse khidki se bahar dekhne lagi. Main to jaise dang rah gaya ki bhala woh mujhe dekh muskurayi kya? Main apne peeche dekhne laga ki kahi woh kisi aur ko dekh to nahi muskurayi.
Par mere peeche koi bhi aisa nahi tha aur fir maine use dekha. Mujhe peeche mud kar dekhte hue usne dekh liya. Woh hass padi apne muh ko apne hath se chupate hue aur apne mobile ko dekhne lagi. Sharmidgi bhi hui sath hi khushi bhi ki shayad mere karan uske chehre par hasi to aayi.
Ab mujhme thodi himmat aane lagi. Main use dekhne laga ye sochte hue ki agar ab woh mujhe dekhe to mein use ek muskurahat zaroor doonga. Itne mein usne mujhe dekha aur maine muskura diya. Aur bhagwaan kasam mano duniya mil gayi jab usne bhi wapas ek muskurahat de dali.
Woh ab mujhe kabhi kabar aise dekhti mano chah kar nahi dekh rahi ho. Aur sath hi kabhi kabhi apne honto ko kat deti. Kya woh jaan buch kar mujhe pagal kar rahi thi ya kya. Samajh hi nahi aa raha tha. Ye silsila kuch 10 se 15 minute chalta raha aur tab dekha to lo mera stop aane laga.
Mann to tha ki utru nahi aur chalte jaun aur mann mein than bhi liya tha ki nahi uthrunga. Chahe der hi kyu na ho wapas Swati ko dekhne jane ke liye. Par main use aur uski muskurahat bhare khel ko chor kar jana nahi chahta tha. Tabhi dekha ki woh seat se uth gayi aur bas se nikalne ke rah par dusri mahilao ke sath khadi ho gayi.
Hai bhagwaan kya ye bhi yahi utarne wali thi? Yani ke ye mere stop ke paas hi kahi rahti hai? Ye soch mein to bas khushi se pagal hi ho gaya. Jald hi bus ruka aur main utar gaya aur sath hi sath woh bhi. Bustop se apartment ek 10 minute chalne ke raste par tha.
Pata nahi kyu aaj shayad mera kismath rang la rahi thi jo usne bhi wahi rasta liya jaha se mujhe apartment ko jana tha. Kuch 4-5 minute aage chalne ke bad raste par sirf hum dono hi the. Woh mere aage aur main uske peeche. Uski chal kya kayamat bhari thi.
Dipika Padukon ke tarah uske lambe sudol pair kya cat walk de rahi thi. Itne mein thodi si mudi aur mujhe dekhi. Ye dekh jhat se main ghabra kar ruk gaya. Usne mujhe ek nakhre bhare gusse se dekhi aur poochi: Kya tum mujhe follow kar rahe ho?
Main: Kya?
Woh: Haan tum Mr! Kya tum mujhe follow kar rahe ho?”
Main: Nahi! Nahi main to bas apne raste…
Woh mujhe tokte hue boli: shut up sab pata chal raha hai, dekha tha bus mein tabse ghoor rahe ho aur ab peecha kar rahe ho.
Main to bas nadan khada tha ki bhala kaise samjhaun ki main uska peecha nahi aur woh mere raste mein aage ja rahi hai.
Main: Nahi aisa kuch nahi hai, aapko galat lag raha hai mere ghar ko jane ka rasta hi yahi hai.
Woh: Acha zara batana yaha se is raste kaha pahunchoge?
Main: Yaha se to mere uncle ka apartment aata hai. Main wahi rahta hoon.
Woh: Acha? Tumhe bata doon ki main wahi rahti hoon, ok! Aur aaj tak tumhe nahi dekhi. Main yaha nayi nahi hoon Mr! Sochlo ok. Abhi phone karu police ko?
Main: Are par kyu? Maine kya kiya?
Woh: Pata nahi? Tum mera peecha kar rahe ho.
Main: Woh main kal hi aaya hoon. Main waha Moorthi uncle ke yaha aaya hoon.
Woh: Moorthi? Hmmmm……..
Main: Haan Mr Moorthi. Ok Swati ko to aap jante hoge shayad?
Woh: Swati? Haan use janti hoon. Tum uske ghar? Matlab kon ho uske?
Main: Main uska cousin brother hoon. Moorthi uncle mere mama hai.
Woh: Oh ok ok! Theek hai. Pahle batana thana.
Main: Are madan apne maoka hi kab diya aap to pure gusse mein bhadak uthi.
Woh: Sorry, woh tum bus mein bhi mujhe ghur rahe the to mujhe laga tum yaha mera peecha karke mere ghar ka pata wagayra lagane ke liye uthre ho. Sorry.
Main: Koi baat nahi, acha hua apne police bulane se pahle hi mujhse bath kar li warna main to khamaka police se pit jata.
Ye sun kar woh hass padi, kya khoobsurat hasi thi. Usne fir kaha: ok mera naam Shradha hai. Main wahi rahti hoon 14th floor pe.
Main: Oh ok jaan kar khushi hui aur mil kar bhi. Yaadgaar mulakat rahegi mere liye to.
Shradha: Ha ha ha! haan, waise tumhari hi galti hai main kya karu?
Main: Bas ek mahila ko yaha dekhna itna bada crime hai mujhe pata nahi tha.
Itna kahte hue hum sath chalne lage apartment ko.
Shradha: Dekhna crime nahi hai par ghoorna aur fir jo hua jaise mano tum peecha kar rahe ho woh to crime hi hai. Mujhe kya pata tha tum bhi apartment se ho.
Main: Ok koi bath nahi, isi bahane apse dosti to hui.
Shradha: Dosti? Kisse? Maine kab tumhe dost banaya?
Main: Nahi mera matlab baat karte karte shayad ban jaye.
Shradha: Tum to bade chalu kism ke ho. Ab please number mat mangne lag jana.
Main: Are nahi nahi madam main us kism ka nahi hoon.
Shradha: To kiss kism ke ho? Dekha maine kaise ladkiyo ko ghoorte ho bus mein.
Main: Uff aapto usi baah ko pakad ke baith gaye ho. Agar pata hota ki aap isi apartment ki ho to nahi ghoorta.
Shradha: Oho to agar nahi hoti to ghoorte?
Main: Are mera matlab main sachme ghoor nahi raha tha bas kabhi kabhi nazar mil ja rahi thi.
Shradha: Haan haan kabhi kabhi. Dekha maine. Ayse thaad rahe the mano ankho mein x-ray vision laga ho. Waise karte kya ho tum?
Main: Mat poochiye, bura waqt chal raha hai.
Shradha: Kyu?
Main: Main yaha job khoj kar aaya hoon. Kal hi ek interview diya par lagta nahi kismat sath degi. Usi liye aaj ek apne school ke dost se milne gaya tha. Usne kaha woh kuch help kar dega.
Shradha: Koi bath nahi mil jayega. Don’t worry. Bade shahar mein struggle bhi utna hi hota hai.
Thabhi Shradha ka phone baja, usne call atend kiya aur baah karne lagi…
Shradha: Hello?
……
Shradha: Haan pahunchne wali hoon.
……..
Shradha: Haan ok, theek hai. bye.
Bas itni si baat karne ke baad usne call cut ki aur fir mujse boli: Haan kya bol rahe the sorry.
Main: Kuch nahi aap hi bol rahe the yaha struggle karna padega karke.
Shradha: Haan Amit, shahar jitna bada utna hi waha struggle bhi hota hai.
Main: Haan woh to sahi kaha aapne, gaaw mein to ek degree mil jaye bas kaam lag jati hai par payse kafi kam milte hai… Ek! Ek minute apko mera naam kaise pata. (Mujhe tab yaad aaya ki maine to ise apna naam bataya hi nahi ab tak.)
Shradha: Kya? Oh ok ok to tumhara bhi naam Amit hai kya? Woh galti se bol di.
Main: Galti se ekdam sahi naam?
Shradha: Woh main ek ladke ko janti hoon jo tumhare tarah dikhta hai uska naam bhi Amit hi hai. Anyways naam Amit hai. ok!
Main: Kya ittifak hai bina bataye aap mera naam bhi jaan gayi.
Itne mein mera phone baj utha. Dekha to Swati ka call aa raha tha. Mann khush ho gaya ki shayad woh mera besabri se intazaar kar rahi ho. Shayad uncle aunty ghar par na ho ya hua to bhi kya ye sab sochte hue maine call attend kiya.
Main: Hello!
Swati: Hello Amit! Kaha ho?
Main: Bas yahi apartment ke paas. Abhi aa hi raha tha.
Swati: Tumhare paas ghar ki chaabi hai kya?
Main: Nahi kyu?
Swati: Woh main apne friend ke yaha hoon, uski birthday party hai main late aungi. Mom dad bhi ghar par nahi hai.
Main: Kya! To main ab kya karunga?
Swati: Mujhe laga tum abhi bhi apne friend ke sath hoge to wahi rukne ko bolne ke liye call ki thi.
Main: Par main to yaha pahunch bhi gaya. Ab kya karu?
Swati: Sorry yaar wapas aane se pahle ek baar call karte na?
Main: Lo bure phase. Kab tak wapas ayenge uncle aunty? Ya tum?
Swati: Unka to pata nahi woh bole shayad kal subah. Mujhe bhi late hoga shayad 11 ya 12 baj jaye.
Main: Kya?? Abhi to 7 hi baj rahe hai. Tab tak main kya karu?
Swati: Ek kaam karo waha apartment mein gym hai, park ke peeche chota sa bar area bhi hai tum waha kahi waqt kat lo. Jab main aungi to call kar dongi.
Main: Par…
Swati: Par war kuch nahi jane se pahle ye sab puchke jana chahiye na?
Maine socha ki usi ke ghar aakar ab uspar gussa kya karna aur isi liye maine kaha: Ok par thodi jaldi ho sake to aana please.
Swati: Ok baba I will. Ok rakhti hoon baad mein baat karte hai bye.
Itna kahte hue usne phone kat di. Aisa lag raha tha mano dil to toota hi sath hi ghabrahat ki ab mein is jagah beghar pada tha. Mere uthre hue shakal ko dekh Shradha ne poocha: Kya hua Amit? Kuch problem hai?
Main: Naah kuch khaas nahi.
Shradha: To muh kyu uthar gaya tumhara? Kiska aisa call aaya?
Main: Kuch khas nahi, Swati ka call tha.
Shradha: To? Usne aisa kya kah diya?
Main: Yahi ki abhi ghar par koi nahi hai aur maine chabi bhi nahi liya.
Shradha: Aww, to ab kya karoge?
Ab tak hum apartment ke gate tak pahunch gaye the.
Main: Usne kaha ki yaha gym wagayra hai aur kahi park ke paas koi bar hai, waha wait karne ko.
Shradha: Haan woh waha B block ke peeche park hai usi ke paas. Achi jagah hai. tum waha wait kar sakte ho. Waise kab tak aayegi woh?
Main: Hmmm kya bataun, usne kaha uncle aunty kal subah ayenge aur Swati ko aane mein 11 se 12 baj jayenge.
Shradha: Oh tum to bure phase. Ek kaam karo waha jakar do beer peelo time kat jayega. Sorry tum peete to hona?
Main: Haan peeta to hoon kabhi kabar par jeb mein payse ho to na. Kash kahi naukri lag jati to kahi aur araam se rah leta.
Shradha: Udaas mat ho.
Main: Hmmm theek hai main park mein wait kar loonga. Aapse baat kar ke khushi hui.
Shradha: Haan mujhe bhi, Swati aaye to use mera hi bol dena.
Mere mann mein tha ki Shradha se bolu ki please ruk jao please mujhe chor kar mat jao par woh to mere mann ki baat thi aise thodi na bol sakta tha ki tabhi ek do kadam aage jane ke baad shradaha palti aur boli: Waise tum khaoge kya? Swati to 12 tak ayegi.
Main: Pata nahi. Kuch kha lunga.
Shradha: Agar tum chaho to mere ghar chalo. Khana kha lo aur fir yaha akar wait kar lena.
Uski invitation ko sun dil khushi se pagal ho gaya par fir sochne laga ki ye kya mujhe itna bebas samajhti hai aur isi attitude mein maine na kah diya ispar usne kaha: Offo ab chalo, Swati meri achi friend bhi hai, tum uske bhai, to tum mere friend nahi par friend jaise hue na so chalo.
Itna kahne par maine socha ki Shradha ka mann kitna acha hai aur bola: Ok agar apko koi problem na ho to.
Shradha: Mujhe koi problem nahi tum chalo, kisi se milaungi bhi.
Main: Kaon?
Shradha: Chalo to.
Itna kahne ke bad hum chalte rahe aur lift mein ghus kar 14 floor ke liye button daba di. Kuch der mein hum 14th floor pahunche aur aage chalne lagi. Main uske peeche peeche chalte hue bas uske matakti patli kamar ko dekh chalta raha. Uska flat ka door open karte hi hum andar ghuse.
To dekha ki ek chota bacha kuch umar 9 se 10 saal ka hoga daud kar aakar Shradha ke pairo se gale lag jata hai. Shradha use apne god mein utha leti hai aur kahti hai: Aww mela laja beta, did you miss me?
Ye sun main hairan ho jata hoon ki iska koi beta bhi hai. Ya to iski nabalik umar mein shaadi hui hogi ya to kya khoob khud ko mentain ki hui hai. Tabhi Shradha mere taraf mudi aur boli: Akshun hi bolo Amit uncle ko
Akshun: Hi uncle.
Main: Hi beta, kaise ho?
Akshun sharmate hue Shradha ke kandhe mein apna muh chupa leta hai. Iske bad hum teeno ghar ke andar jaate hai, ghar ko kafi achi tarah se mentain kiya hua tha. Main ghar ko idhar udhar dekhne laga tabhi Shradha ne kaha: To Amit ye hai Akshun, my son. Issi se milane ki bath kah rahi thi.
Main: Kafi cute hai. Kis class mein hai ye?
Shradha: Abhi 7th class ko jane wala hai, bahut badmash hai. Ise seedha sadha mat samajhna. Ek bar gale pad jaye to fir khair nahi. Bahut shrarti hai.
Main: Kya baat kar rahe hai aap, bache to pyare hote hai bhala kaon na chahe ki ye gale pade.
Mere aise kahne pe Shradha kafi khush ho gayi thi aur fir Akshun se bolne lagi: to Akshum homework kiya?
Akshun: Yes mom
Shradha: Very good baby. Chalo uncle ke sath TV dekho tab tak mein tumhari favorite maggi bana deti hoon ok.
Akshun: Yeahhh!! Maggi.
Akshun daud kar jakar sofe par baith jata hai aur TV mein cartoon dekhne lagta hai.
Shradha: Tum chaho to uske sath baith kar thodi bate kar lo. Main jald se kuch bana deti hoon abhi ke liye baad mein dinner bana dungi.
Main: Are nahi abhi waise bhook nahi lagi hai. Kuch banane ki utni zaroorat nahi. Bas time kat jaye wahi kafi hai.
Shradha: Are nahi Akshun ko is waqt bhook lagti hai to kuch na kuch khane ko zaroor banati hoon.
Itna kahte hue woh apne room ko gayi aur fir kitchen ko. Me thodi der ke liye sofe pe baitha raha aur fir socha ki Shradha akele kitchen mein kaam kar rahi hai to thoda hath bata doon aur fir main uth kar kitchen ko chala gaya.
Woh mejhu dekhi aur boli: Are tum yaha kya karne aaye? Wahi baitho, main maggi bana rahi hoon. Abhi laati hoon.
Main: Nahi bas socha apki thodi help kar doon.
Shradha: Ha ha ha!!Bhala maggi banane mein kya help karoge. Ise pani mein hi to ubalna hai bas. Sab samajhti hoon.
Main: Kya matlab kya samajhte ho aap.
Shradha: Yahi ki bus mein ghoor kar jee nahi bhara, ha ha ha!!
Main: Are aisa kuch nahi hai. Lo neki ka to zamana hi nahi raha is shahar mein.
Shradha: Ha ha ha!! Bade aaye neki wale. Jaldi se main ye banake tum dono ko de deti hoon fir mujhe thoda kaam hai.
Main: Kya kaam hai boliye main haath batane ko taiyaar hoon.
Shradha: Ha ha ha!! Nahi nahi tum nahi kar sakte help usme. Kahi bhi kuch bhi bol dete ho.
Main: Kyu kya kaam hai. Mujhe khana banana aata hai ek maoka to do. Fir dekhna kya mast khana khilata hoon.
Shradha: Are main nahane ki baat kar rahi hoon ha ha ha!! Bolo hath bataoge? ha ha ha!!
Main: Oh sorry very sorry.
Ye bol bas chup hogaya.Fir woh uble pani mein maggi dalne lagi aur is beech mein chup khada raha koi bewakoofi na bolne se acha soch kar. Par fir mann mein sochne laga ki jab usne poocha ki hath bataoge nahane mein to haan bol dena chahiye tha. Tabhi usne mujhse poocha.
Shradha: Aur batao kitne companies mein try kiya?
Main: Abhi to kal ek hi company gaya interview ke liye. Aaj dost se mila to usne reference dene ki baat ki hai.
Shradha: Ok tab to mil jayegi.
Main: Haan par reference mile to na. Pata nahi kab tak intezaar karna pade. Yaha to har cheez itna mehanga hai. Zyada din nahi chal paunga.
Shradha: Hmmm! Ok agar tumhe aitraaz nahi to main thodi help kar doongi.
Main: Woh kaise? Kya aap kisi company mein reference de sakte ho?
Shradha: Nahi reference nahi, filhaal ke liye paise udhaar de sakti hoon. Swati ko janti hoon isi liye boli.
Main: Are nahi nahi ye theek nahi hoga. Udhaar lena sahi nahi.
Shradha: Ok tumhari marzi par udhar nahi to.. Ok batao tumne kya pada hai?
Main: Maine B-teck kiya hai.
Shradha: Hmm ok to 6th class ki maths aur Hindi ka tuition le sakte ho?
Main: Kya? Akshun ke liye?
Shradha: Haan. Uski final exam aa rahi hai.
Main: Aaj tak kisi ko padaya nahi hai. Par try kar sakta hoon.
Shradha: Ok to done, Akshun ko padane aa jao main payse adwance mein de doongi.
Main: Are chalega. Abhi ke liye hai.
Shradha: No no yaha is shahar mein payse kab nikal jate hai pata bhi nahi chalega. Waise kab se aaoge?
Main: Jab bhi aap bolo.
Shradha: Jab bhi?
Main: Haan jab bhi.
Shradha: Raat ko 12 baje aane bolungi tab bhi?
Is bar maoka nahi khona chata tha aur maine bol diya mazakiya roop se muskurate hue: Haan aap jab bhi bulao aa jaunga. Raat ke 12 ho ya subah ke 4.
Shradha: Ha ha ha!! Thats the spirit. I like it.
Itne mein maggi taiyar ho gaya aur use Shradha do plate mein dalne lagi.
Shradha: Lo ek plate tumhari aur ek Akshun ko de dena.
Main: Aur aap ke liye?
Shradha: Nahi nahi main bewaqt nahi khati. Thodi health counsious hoon.
Main: Haan woh to sahi kaha. Aapko dekh kar lagta bhi hai.
Shradha: Kya lagta hai.
Main: Yahi ki aap apne apko kitna well mentained rakhti ho.
Shradha: Ha ha ha!! Kya karu karna padta hai jab 34 sal ke ho jaye to.
Main: Ho hi nahi sakta ki aap 34 years ki ho.
Shradha muskurate hue boli: Kyu? Tumhe kya laga to fir?
Main: Mujhe laga aap kuch 24-25 ki hi hogi.
Shradha: Oho! Ab itna bhi zyada mat pheko. Woh thoda zyada ho gaya.
Main: Ok zyada se zyada 26-27 par 34 ki to aap bilkul nahi lagti.
Shradha ke chehre pe ek khushi bhari muskaan umad padi aur boli: Ok jao ab maggi thanda ho jayega in baato mein. Tum aur Akshun khao main nahakar aati hoon.
Mere andar ab ek josh aa gaya tha usse bath karne mein aur main jate waqt usse poocha: Jaisa ki apne poocha hath batane ki. Zaroorat pade to yaad kar lijiyega.
Shradha: Kis main hath batane ki?
Main: Wahi ap jo kaam karne ja rahe ho.
Shradha: Chal bhaag naughty. Zaroorat pade to bulaungi. Ab jao.
Itna sunkar main leaving room ko aaya aur Akshun ko maggi de diya jispar usne thank you uncle kaha aur khane laga, palat kar maine Shradha ko apne room jate hue dekha, jate hue usne palat kar mujhe ek muskurahat di jispar main khushi se pagal ho gaya.
Fir andar se uske room ke bathroom ka darwaza band hone ki awaz aayi, ab karta kya to maine socha chalo Akshun se thodi baat kar loon.
Main: Akshun tumhare papa kaha hai?
Akshun: Woh to America mein hai.
Main: Oh America mein?
Akshun: Haan USA.
Main: Ok ok!
Akshun: Aap gaye ho USA?
Main: Nahi abhi tak to nahi. Aur aap?
Akshun: No. Papa aate hai yaha.
Main: Kab aaye the last time?
Akshun: Mere birthday par.
Main: Ok.. Apka janmdin kab hai?
Akshun: Kya?
Main: Janmdin?
Akshun: Woh kya hai?
Tab yaad aaya ki kyu Shradha iski hindi ki bhi tuition ki baat kah rahi thi.
Main: Janmdin matlab birthday hindi mein.
Akshun: Oh ok. July 18
Main tab sochne laga ki abhi to kafi mahine ho gaye July ko bechara apne papa se aur Shradha apne pati se kitni door rahti hai.
Fir maine TV unit pe rakhi ek photo dekhi Shradha aur uske hasband ki. Fir hum dono maggi khane lage aur sath hi dorimon naam ki cartoon dekhne lage jo shayad use bahut pasand tha.
To be continued.
- 12.01.2021
- 39
- 0